Thursday, 22 December 2016

RANJEET BABA part 3

To ab Mai aapko iss love triangle k teesare aur main angle batata  hu. Ham sab ki jindagi mai aisa ek dost jarur hota hai jisse ham chahte bhut hai usse apni jindagi k saare secrets share karte hai aur end Mai wahi hota hai Jo hamari peeth pe chuka Marta hai aisa hi hamari story ka hero aur villain ranjeet. Vijay aur ranjeet aapas mai bhut pakke dost the itane pakke ki dono bathroom bhi sath jaate the. Pure campus Mai dono k gay hone ki khabar thi.mujhe to khuch waqt tak yakeen bhi tha par fir khuch aisa hua jisane pure campus ko shock kar diya aur vijay to suicide karne waala tha bhut manane k Baad wo maana.

Jaisa pahale Maine bataya tha hamara chutiya hero vijay hamari dhinchak queen divya pe kitana Marta hai ab kuki ranjeet vijay ka dost tha to uski bhi baat divya se hone lagi. Dono ki kaafi acchi dosti ho gayi even divya ka ranjeet jaada acha dost ban Gaya aur hamara hero vijay aaj bhi bas miss dhinchak k kaam kar raha tha aur chutiya ban raha tha.
Lekin ranjeet aur divya ki dosti parwaan Chad rahi thi aur hamare ranjeet ne filmy hero ranjeet ki tarah yaha bhi apni gandi nighaaye miss dhinchak pe baitha like thi. Aur fir ek din aaya jab pure campus ko pata laga ranjeet aur miss dhinchak relationship Mai hai. Pure campus ka dil tut gya that kuki sabk vijay aur ranjeet ka hi pyar pasand tha. Bhut dil tute the USS din sayad duniya k itihaas Mai itane dil ek sath paheli baar tute honge.
Par ek tha jiska dil tuta hi nahi tha balko toot k tatti ho gya tha wo tha hamara chutiya aasiq vijay. Saccha pyar tha hamare vijay ko itana saccha pyar ki usane apne seene pe bhi chutiya aasiq gudwa rakha tha. Aaj jab Mai sochata hu to ehsaas hota hai kitana dard hua hoga mujhe to ek k jaane pe itana hua hamare chutiya aasiq me to pyar aur dost dono khoye the....

Aaj iss kahaani Mai bas itana hi baaki aage bhi ham kahaani jaari rakhenge abhi to bhut khuch baaki hai

CHUTIYA AASIQ part 2


So, in first part maine teen mai se do characters ka introduction diya story mai aage aap aur bhi jaanenge unk bare mai aur iss kahani mai meri bhi ek choti si story hain main iss kahani ka super hero jiska naam nahi hai bas uska pyar hai iss kahaani mai
aaj is part mai ham baat karenge vijay ki jo hamari iss kahaani ka chutiya lover hai. Wo apni jindagi se pareshaan hai pahele ladko ka school aur ab collage mai aisi ladki jisko wo kisi bhi tarike se pata nahi sakta so ab bechara kya kare. Bhut samjhaaya tha vijay ko par jab tak aadmi k pichwaade pe laat nahi padati wo sudharta kaha hai aur same hua vijay k sath ek din aakhir sayad jab usane aankhe kholi hongi tab use pata chala hoga ki jisse wo kal tak apna samjhata tha aaj wo kisi aur ki hai. Par galti uski khud ki koi bhi insaan itna bada waala chutiya kaise ho sakta hai kaha tha usse na behkaave mai aaye is pyar word k ye jab leta hai to bhut buri leta hai. Hahhahhaaha
so hamari kahani suru hone k baad vijay ko divya se chutiya waala pyar hua aur sayad suru k mahino mai usane iska confession bhi kar liya divya se and wo acche dost ban gaye jo mujhe aajtak samjh nahi aaya ku but wo dosti acchi hai and sayad hamesha rahe. par pyar to hamara vijay bhut karta tha divya se so usne dosti ko pyar mai badalane k liye bhut effort lagaaye. Sach baatu to wo akal se to gadha tha hi ab sakal se bhi lagane laga tha aur jaane-anjaane divya bhi usse gadha bana hi rahi thi no offence to you girls but jadatar ladkiya karti hai ye and iss baat k liye aap log mujhe maaf kar dena but aisa hota hai. Agar aapko yakeen nahi to mai aapko mere ek aur dost shekhar bihari ki bi kahani suna sakta hu.
Aise hi ek baar hamare chutiya aasiq ne divya k liye notes banaye kuki wo collage nahi aayi thi wo aaj apne ek khaas dost k sath ghumane gayi thi aur ye obvious hai ki usne vijay se jhoot bola tha ki usse ghar mai kaam hai. Agale din divya ka mood bhut kharab tha sayad kal khuch baat hui khaas dost k sath aur jab vijay ne usse notes diye divya ne bhut bedardi se unhe faad diya aur vijay k upar chillane lagi mai kone baitha apne kisi khaas ko niharta hua khuch likh raha tha aur ye dekh k pahele bhut hansi aayi fir vijay k liye thoda bura laga aur usk baad aur jaada hansi aayi.
“Risto mai pyar aur takraar dono hote hai…
Khuskismat hote hai wo jink chane waale…
Jo kal the wahi aaj bhi hote hai”
Ab agali baatain agali baar aaj bas itana kaafi hai….

FIRST LOVE part 1



Let me declare some character’s first for better understanding…
Most of the story 3 character’s k upar hi ghumegi khuch special appearances hogi par story teen lovers ki hai. two boys and a girl. Story ek collage ki hai jaha ye ghatnaaye ghati
Boy 1 name : vijay
Boy 2 name : ranjeet
Girl name : divya
So lets’s start part one FIRST LOVE.
Pyar ajib hi hota hai kahi bhi kisi se bhi ho jaata hai aur agar aap kisi strict boys hostel mai rahe ho jaha aapne puri jindagi ladkiya na dekhi ho to sayad aur bhi jaldi kisi se bhi ho jaata hai. Aise hi hamare pahale hero vijay ko bhi hua. Pyar to nahi tha wo sayad par puri school life ladko k sath bitayi ho to aapko aisa pyar ho hi jaata hai.
Collage admission k baad khuch hi mahine hue the aur hamare vijay ko ek ladki se pyar ho gaya. Waise to vijay sharif sa , gadha sa hai dikhane mai par usane fir bhi collage ki “miss pathakha” ko apne andar bhut gande tarike se basa liya.
Aur hamari heroine jisse har ladki ki tarah ladko aur pyar dono mai vishwaas nahi tha wo mast apni life khelti kudati mast mola si hamesha ki tarah bas apni dhun mai sawar , gandi si English bolana aur feminism ki sikaar bas too good thi.
Aur ye thi hamari kahani first love . ye trailor tha aane waali puri series ka hope pasand nahi aayi hogi tab bhi koi baat nahi mai puri series post karunga hi.
Thank you.